Friday, June 8, 2012

Back in london, start of a relationship wid Allan


Hum log jab jahaz main bethe tab aik khayal mere dil main aya jo es say pehle kabhi nahi aya tha, who yeah k Akhir esi kia baat hai jo Allan meri etni care kar raha hai mana k dunya main insaniyat hai aur bht hai mgr Allan ka mujh say etna lagao? Koi khas wajha? Aur meri yeah soch bht gehri hoti chali gai, Allan samjha k main su gaya hon, mgr main apni ankhain band kar k London k pehle din say aaj tak ki har baat par ghoor kar raha tha, kabhi manfi khayal ata kabhi ache khayal, na mera aur Allan ka koi rishta tha, na hi hum old friends thy, na hi humara mazhab aik tha aur 9/11 k baad tu angrez Pakistani logono say wese hi bhagte hain tu yeah Allan mujh main etna interest kiun le raha hai? “yeah bhi sach hai k aaj meri shaksiyat main Allan ki chap lagi hoi hai. Uss say jo kuch bhi sekha aaj who sab batain meri shaksiyat ka hisa hain. Dairy main agai chal kar aap ko andaza ho gai gaa k main esa kiun keh raha hon.”
Main nai apne dimagh main ate howe sawalat ko wahi roka apni ankhain kholi tu Allan bhi ankhain band kar k leta howa tha, main nai jan bojh kar uss k kandhe par apna sar rakha apna moun us ki taraf kia aur apna hath us ki kamar main dal kar sone ki acting kari, yeah sab kar jan bojh kar raha tha mgr andar say yehi chahta bhi tha. Allan nai bhi koi muzahimat nahi kari, halanke hum jahaz main thy log hum ko dekh sakte thy mgr main koi esi harkat nahi kar raha tha jis say Allan ko koi problem ho ya jahaz main moujood logon ko koi etiraz ho, sabh hi apne ap main magan thy.
Jahaz Qatar utra yahan humara 2 hours ka stay th aur flight change honi thi hum log airport par aye tu main ne socha k ami ko bata don kiun k meri had tak tu thik hai mgr Allan k liye ammi ko kuch khas entizam karna pare ga mgr Allan shayad samjh gaya tha us ne aik dafa phir mana kar dia k kisi ko kuch nahi batana wese bhi kuch hi hours ki bat hai hum Karachi main honge.
Hum log boarding lounge main akar beth gaye halka phulka nashta kia aur main Allan ko apni family aur rehn shn k bare main batane laga. Mujh ko ye khayal aya k ami ko nahi tu kia apne cosin bilal ko tu bata sakta hon aur who kisi ko kuch batai gab hi nahi kiun k Allan ka mere sath hona mere liye aik mushkil tha ammi log aik lower middle class area main rehte thy jahan kisi angrez ka hona khud us k liye security ka masla ban sakta tha. Main nai Allan ko apne khayalat say agah kia tu Allan nai har man li main nai yahan (Qatar) say Bilal ko phone kia tu who heran howa main nai us ko qasmain de kar kaha k kisi ko na batai bus hum ko lene airport ajai aur Allan k liye kisi hotel ka entizam kare baqi main wahan akar dekh long a, us ne kaha k kiun na who uss k gher ruk jae, Allan bhanp gaya tha us ny saf saf keh dia k jahan tum wahan main mutlb k jahan main rukon gaa wahi Alan bhi ruke ga. Kher, cosin mere ane ki bat sun kar bht excited ho gaya aur uss ne kaha k who mere Qatar say rawana hone ke aik ghante baad airport puhanch jae gaa.  Main nai aik dafa phir us ko kaha k kisi bhi tarhan gher pe kisi ko pata nahi lagna chahiye. Us ne wada kia k esa nahi hoga. Humari karahi k liye fight ka elan howa main aur Allan jahaz main bethe aur abh Karachi ka khayal mere dil main tha, ammi mujh ko ese achanak dekhe gi tu kia hoga, sara khandan hoga sis ne apne Canada jane ka plan abbu k chehlum tak k liye cancel kar diya tha. Who bhi ghr par hogi. Hum ko Pakistani tym k hisab say subh hi Karachi utarna tha.
Aur bilakhir jahaz Karachi airport par land howa. Hmare pas saman k nam par jst 2 hand bag hi thy jin main kuch kapre thy isi liye custom per koi issue nahi howa Allan say Pakistan amad ka maqsad pocha gaya aur us nai saf saf bata diya k mere sath mere dad ki death par pursa dene Karachi aya hai. Jis par duty officer sirf muskura hi diya, hum log jese hi departure launge say bahar nikle samne Bilal khara howa tha. Uss ne mujh ko dekha tu awaz lagai aur main nai Allan ko us k bare main bataya hum log gale mile main ro para (aik tu mujh ko bat bat par rona ajata hai) mutlab k anso pata nahi kiun nikal parte hain.
Bilal apne kisi dost ki carola car le kar aya tha hum log usi main beth kar mere gher jane lage, main nai Bilal say kaha k pehle mujh ko abu ki qabr per le chalo tu us ne kaha k pehle gher chalet hain phir wahi mgr main nai zid kari k gher say pehle mujh ko abbu ki qabr per le chalo, qabrusta gher k kharib hi tha hum log pehle qabrustan gae ar jese hi main abbu ki qabar par puhancha mere sabr, zabt k sare bandhan toot gae, aur main bilbila k rou para, mujh ko Allan nai aur Bilal nai abbu ki qabr say hatane ki koshish kari mgr wohi batate hain k main kisi zidi bache ki tarhan zid kar raha tha. Pata nahi kitna dair main apne abbu ki qabr say lipta raha honga k wahan ane wale aik buzrg nai mera kanda pakar k mujh ko hilaya ark aha kiun marne wale ko takjlif deta hon, ALLAh ki amant thi us nai wapis le li abh un ki maghfirat k lie dua karon aur himat aur sabr say kam lon, un buzrg ka hath bht nr mar shafqat bhara tha main nai apne anso poche dher udher dekha tu mere peche hi Allan aur Bilal thy dono hi khamosh khare thy hum ko shayad yahan 35-40 mint say zida ho gai thy, main nai khud ko sambhala aur fatiha waghera parh kar khara ho gaya.
Hum log shup chap gher ki taraf jane lage, lekin yeah kia, yeh rasta tu us tarf nahi jata jaha mera gher that u hi mujh ko pata laga k ammi logon nai north Karachi wala gher shift kar dia hai ar F. B. Area main shift ho gai hain, main nai kaha chalo ye tu achi bat hai, Allan kuch tu save howa.
Gar jese hi gali main ghusi tu mujh ko mere cosin nazr agai kisi k wehm o guman main nahi tha k main araha hon. Bilal ny humare new ghr k agai gari roki yeah f. b. area block 19 ka aik makan tha jo singl story tha yani separate. Bahar pholon ki kiyari bani hoi thi aur darwaza open tha ess waqt bhi shayad koi andar aya howa tha. Gari k rukte hi mere behnoi bahar nikle ar jabh Allan ko apne samne dekha tu heran pareshan kuch kae bagher andar bhage, andar tu jese hangama mach chukka tha. Bahar kuch cosin aur muhale wale mujh saymilne lage aur mere dad k intikhal par mujh say taziyat karne lage. Bari mushkil say mujh ko andar jane ka moukha laga . Bilal nai hum say pehle andar ja kar bethak sahi karwai thi kiun k Allan ko filhal wahi bithana tha.
Ami ko jese hi pata chala k main agaya hon who sabh ko chor kar apne room say bahar nikli aur darwaze par hi mujh say lipat lipat kar roi, main bhi khud par qabo pate howe ru raha tha mgr ami tu jese apna sara sabr khatm kar chuki thi kafi dair baad un ko khayal aya k main safr say ayah on aur mujh ko hosla dena chahiye phir main nai un ko jaldi jaldi ape aur Allan k bare main bataya aur yeh bhi k hum wirf 6 days k liye karaachi aye hain. Ami nai Allan say mulaqat kari s k sar par hath phera aur foran hi cosin ko sister ko hidaat dene lagi k Alan k lie aik kara thik karain, us ko sabh say pehle shower lea tha mujh ko bhi lena tha main nai us ko foran shower lene bheja, yeah naya gher 4 room a tha. Jo k rent ka tha aura mi nai sis k kene par hi change kia tha, gher ka holwa bhi kafi badl chukka tha kuch furniture agaya tha carpet lage thy har cheez bht achi tarhan rakhi gait hi, kiun k dad ki death k baad memanon ki amad ho rahi thi esi liye thora be tartibi thi mgr sabh kuch mange tha. Alan bhi ami say mil kar bht khush howa. Gher k bahar hala mach chukka tha k mere sath koi gora aya hai jo mera frnd hai tu har koi us say milna chahta tha. Mgr main nai sabh ko mana kar wa diya k abhi hum bht thake howe hain esi liye nahi mil sakte, ami ko bata dia tha k hum abbu ki qabr say ho kar aye hain. Ami ko acha laga, phir ami nai abbu k death ki pori tafseel sunai aur abbu ki death k baad bari ammi ka rawaya aur dadyal walon k rawaye k bare main bhi bataya. Afsoos hi kar sakta tha kiun k teah sab tu pehle bhi ho sakta tha, bus etna karam howa tha k abbu ka janaza huamre gher say hi uthaya gaya tha. Baqi  jo jese hain kabhi nahi bdl sakte.
Allan safr ki thakan ki wajha say shower lete hi so gaya aur main nai apne cosin ko hidayat di k Allan k liye mineral water (asli wala) aur fast food waghera ka entizam rakhe sath hi Alan k uthte hi hum ko Gulbrg police station bhi jana tha jahan Allan ki Pakistan amad ki reporting bhi karna zaroori thi.
Etna dair main ami k pas hi betha ra kahan ki safr ki thakan kaha k neend aya hi kitne din k liye tha jo aram karta. Allan jese hi utha  jaldi jaldi fresh howa aur main nai kaha k hum ko police reporting k liye jana hai, us ne bhi hank aha phir aik dafa pirus ne ami say aur sabh say mulaqat kari mere sath reh kar jo tooti phooti urdu sekhi thi usi par uss ne bht achi tarhan ami say bat kari ammi ko bhi bht khushi hoi, mere sath aik gora aya hai eah bat jungle main aag ki tarhan har jaga phel chuki thi, hum log jese hi bahar nikle muhalle main rush lag gaya agr Bilal jaldi jaldi gari na nikalta tu ess rush main humara nikalna bht mushkil ho jata raste main mai ne Allan ko bataya k main kin ghabra raha tha. Allan ne kaha never mind it is ok.
Um log gulberg ppolic station main dakhil howe tu aik gore ko dekh kar sabh he alert ho gai, hum log roznamcha likhwane wale k pas gai aur us ko apni amad ka maqsad bataya, uus waqt k S.H.O apne room main thy thoda dair main unhon nai hum ko apne room main bulwaya aur bht khaoos say Allan ko welcome kia aur mere father ki death par mujh say tziyat kari ark aha k jabh tak Allan yahan hai police ka aik sipahi humare gher par duty de ga aur jahan jahan hum jain gy humare sath security dy ga, SHO sahib ki ess bat par main nai un ka dil say shukriya ada kia (un SHO sahib ko dehshat gardon nai shaheed kardiya hai) aaj bhi jabh bhi un ki yad ati hai un ki magfirat k liye dua karta hon aur un jesa har police wale ki banne ki dua karta hon.
Hum log police station say wapis gher aye tu sara dadyal hi ikhata tha un kobhi pata lag chukka tha k mere sath mera frnd aya hay jo gora hai, har koi us say milne ki koshish main ta yahan tak k meri bari ammi ar step brother, sister tak agai thy. Allan sab say hi bht achi tarhan mila sab nai us ka thanks kaha esi main sham ho gait u Allan ne kaha k hum ko kahi bahar chalna chahiye, Bilal us ka maqsad samjh chukka tha s ne kaha k aap log ready ho jao hum log kahi bahar chalet hain. Hum log ami ko bata kar Bilal k sath car main bahar nikle police wala gunman humare sath hi tha jis say aik ruab par raha tha, mgr abh hum log thoda reserve ho gai thy kiun k police wale ki mojodgi main ziada khul kar bat karna acha mehsos nahi ho raha tha, Allan nai traditional khane ki farmaish kari tu Bilal nai bataya k gher main aaj khas khae ka intizam kia gaya hai bahar say sirf halka phulka nashta hi kar lete hain, hum log pehle qauid e azam k mazar ki taraf gae aur thora sair kar k wapis gher agai, Allan nai hi kaha tha k log kia soche ge k hum abbu k death par Pakistan aye hain aur awara gardi karte phir rahe hain. Raste main Allan nai kaha k bus us ko Karachi ka sahil dikha don aur kuch nahi hum nai 1-2 din main jane ka kaha. Hum log wapis gher agai tu khae ka intizam ho chukka tha. Hum log khaa kha kar ami k pas hi beth gaye mehmam aik aik kar k rukqsat hote gai Bilal nai kaha k who apne dost ko keh chukka hai k gari kuch din usi k pas rahe ge. Aaj ka din bht masroof guzra tha. Allan yahan k rishte waghera dekh kar bht khush tha k kese log aik dosre k sath hain aur khayal rakhte hain magribi muashre main en sabh baton ki koi gunjaish nahi hoti.
Raat hoi tu ami nai kaha k mera bister Allan k sath hi laga diya gaya hai, hum log dosre kamre main agai, ami bhi sath aye aur kaha k kisi bhi cheez ki zaroorat ho tu un ko bata don. Allan ko neend nahi arahi thi aur who mujh say meri family aur yahan k rasm o riwaj k bare main bar bar sawal kar raha tha aur meri pori koshish yehi thi k main us ko har sawal ka jawab don, main nai abhi tak apna Pakistan wala numbr on nahi kia tha. Mgr kal karne ka mood tha. Raatko Bilal k numbr par asif ki cal ae tu meri bat bhi hoi us ne shikwa kia k main ayah on aur main nai bataya bhi nahi. Main nai kaha k aaj ka din bht bhagam bhaag main guzra kal batata. Us ne kaha k who subh mujh say milne aye gaa. Aur main kiun k bht thaka howa tha esi liye su gaya, subh ankh khuli tu 10 baj rahe thy Allan mujh say pehle uth kar naha dho kar fresh ho chukka tha ami ne bataya k nashta ready hai Allan nai juice pe liya hai main jaldi jaldi fresh howa nashta kia aura mi ko kaa k main abu ki qabar par jaa raha hon, main jabh tak Karachi tha roz hi abu ki qabar par jana chahta tha. Aur jo kuch un k liye parh sakta tha parhna chahta tha. Ami nai kaha k yeah tu achi bat hai, main nai Alan ko apna bataya tu us ne bhi sath chalne ko kaha main nai us ko mana karna chaha tu us ne saf saf kaha k main tumahre sath ayah on ar tumahre sath hi rahon gaa. Majboran hum roz hi abbu ki qabar par sath jate main wahan aik ghanta guzarta aur wapis ajata. Yeah 4-5 din kese guzr gae pata hi nahi chala Asif bhi milne aya jabh bhi who ata Atif us k sath hota Allan say mil kar who bht khush tha aur mujh ko kaa k shukr tum ko bhi koi mila, us ka kya mutlab tha main samjh raha tha mgr main nai koi jawab nahi diya, kiun k mere aur Allan ki darmiyan esi koi bat nahi thi. Aur who din agaya jabh hum ko wapis London k liye rawana hona tha. Ami ne humara saman apne hathon say pack kia hum ko bar bar dua di, sara khandan hi gher aya howa tha. Who log aur rishtedar jo pehle kabhi umare gher nahi aye thy who bhi aye thy aur bahane bahane say Allan ka aur mera London ka numbr le rahe thy aur apne bachon k liye wahan adjust karane ki bat kar rahe thy, main wajibi jawab day kar sab ko mutmain karne ki koshish kar raha tha, humari flight raat kit hi hum log sham 6pm gher say rawa ho gait u ami ki ankhon main ansoo thy main nai ami ko aura mi nai mujh ko tasali di aur hum airport ki taraf rawana howe, Allan bhi aaj bht chup aur gum sum tha. Jis ki koi wajha samjh nahi arahi thi. Hum log airport puhanche aur jesa pehle howa tha hum log apna saman le kar sabh say mil kar andar dakhil howe main nai aur Allan nai Bilal ka bht shukriya ada kia us nai humare Karachi rehte bht sath diya tha.
Aur hum departure launge main dakhil ho gai andar say main nai aik dafa phir ami ko phone kia aur un ko tasali di. Ami ne mujh ko acha parhne ki nasihat kari aur Allan ka bhi thanks kaha. Main tu khud Allan ka ehsan mand tha k who mere sath yahan tak aya aur mera etna sath diya. Jahaz main bethne k baad main nai aik dafa phir ger walon ko phone kia aur apna mobile off kar diya. Mai mehsoos kar raha tha k Allan kuch ziada hi khamosh tha main nai wajha pochi tu sirf utna hi kaha k main kuch soch raha hon aur waqt ane par tum ko zaroor bataon gaa. Main nai abh israr karna munasib nahi samjha aur khamoshi say apna sar seat par tika kar ankhain band kar li, mere andar jo becheni thi aur pareshani ki kefiyat thi kafi had tak who sahi ho chuki thi. Aik sal main hi gher ka chakar lag gaya, abba ki qabr par hazri de di aura mi say mil liya. Abh fir say wohi routine karna thi. Hum log via Qatar, London puhanch gai, airport utar kar hum sedha campus gaye, sara rasa Allan ziada tar khamoshi hi raha tha bus formal batain hoti rahi thi. Mgr main Allan k sath pehle ki tarhan hi bartao kar raha tha. Hum log campus puhanche tu humare clas mate, dean, class incharge ne humko welcome kia. Hum apne room main gaye fresh howe kiun k lunch tme ho chukka tha is liye Allan k sath mess par khane chale gaye, wahan Allan k kuch old friends bhi thy hum say humare safr k bare main pocha gaya aur Allan say khas kar pocha gaya k Pakistan kesa laga, Allan ka jawab bht acha tha k “main nai pehle kabhi etni muhabat aur khalos nahi dekha, mera dil chahta hai k rest of life Pakistan main hi guzaron.”

Doston, Allan aur main dosti k ese rishte main band gaie thy jahan hum aik dosre ko bht achi tarhan samjh chuke thy, mgr abhi bht kuch janna baqi tha, yeah bhi aik haqeeqat hai k mere andar Allan ko hasil karne ki tarap kabhi kabhi jag jati thi mgr main us ko sula deta tha kiun k who aur main bht ziada khaloos aur caring thy aur main koi bhi esi harkat nahi karna chahta tha k jis say humare rishte pe koi dagh aye, jab say main Allan say mila tha main nai us ko kisi ladki ya ladke k bht qarib nahi dekha tha esi liye mere mind main who straight tha han mazakh hum bht kar lia karte thy.
Humari study phir shuru ho gai aur humlog pehle ki tarhan apni life guzarne lage, Allan apni family say milne Canada bhi nahi ja saka. Phir us ne kaha k abh tum mere sath meri family say mile Canada chalna, mai nai kaha yeah kese mmkin hay? Pakistan jana aik alag bat thi mgr Canada jana bilkul alag baat hai. Us nai kaha k mujh ko sirf jana hogabaqi sabh kuch who khud hi manag kar le gaa, main nai kuch socha aur kaha hain dekhte hain. Meri sis bhi Canada hi shift hone wali thi. Esi bahane uss say wahan bhi mulaqat ho jati. Mai nai flowers k kaam k sath sath newspaper bechne ka kaam bhi shuru kardia, aik ghanta flowers bechta aur aik ghanta newspaper iss say meri amadni thoda barh gai, flower ki sell say jo pese milte main Karachi bhej deta aur newspaper wale pese main jama karta. Aur phir humare semester start hone ka waqt agaya aur main nai apni pori mehnat shuru kardi, main aur Allan dono hi apni class main parhako mashoor thy humare grads bhi ache arahe thy, sab teachers humsay bht khush thy, dean hum pe hamesha nazr rakhte aur aksar hum ko guide karte k konsa kam kese aur kab karna hai. Esi doran mere gher pe net lag gaya main nai apni msn aur yahoo ki id active kari aur Allan k laptop par aksar chit chat shuru kardi. Aik din Allan apne kaam say thoda late aya tu main us ka laptop khol k betha howa tha. msn par Allan ki id on thi aur yahoo par meri, mujh ko es ka andaza nahi tha k msn par kisi nai msg kia “hi Allan” main nai jwab main likha k Allan is not here, tu us ne kaha k ok us ko kehna k Jhon say contact kare, mere liye yeah aik mamooli batthi. Thoda dair main Allan aya tu main nai uss ko bataya k msn par kia howa tha. Ess par Allan k chehre par aik rung aya tu dosra gaya us nai pehle mujh kokaha k abh jab main laptop use karon tu sure karon k us ki koi id sign in na ho. Meri samjh main nahi araha tha k howa kia hai, Allan fresh ho kar aya tu us ka mood bht kharab tha. Abh mujh ko fikr hone lagi thi k akhir howa kia hai? Main nai Allan k pas jakar us ko pocha tu s ne kaha koi bat nahi bus thoda kaam ka pressure hai. Main nai zid pakar li k Allan jab say hum Pakistan say wapis aye hain tum kuch thik nah lag rahe akhir howa kia hai. Us ne kaha kuch bhi tu nahi.
Mgr main aaj fesla kar chukka tha k Allan k mind main kia chal rha hai es ka maloom hona bht zaroori hai aur agr yeah kisi mushkil main hai tu main es ka dost hon mujh ko ji jaan say iss k kam ana hai baqi jo hoga dekha jae gaa.
Main zabardasti Allan ko study chair par bitha kar khud neche carpet par beth gaya us ka hath apne hathon main lia aur us ki ankhon main ankhain dal kar kaha k “Allan tell me what is going on?” mujh ko kuch sahi nahi lag raha, mujh ko batao k akhir mamla kia hai? Aur iss k baad jo howa who mere liye heran kun tha.
Allan nai kaha k, who aik Gay hai, aur as sex worker London main kam kar raha hai yeah bat kisi ko nahi maloom sab ko yehi pata hai k wooh kisi hotel main job kar raha hai, aur Pakistan main Asif and atif nai us ko mere bare main bhi bataya, Allan kehta jaa raha tha au main suntan jar aha tha, Asif ne yeah kia kardia? Atif ko yeah sab bakne ki kia zaroorat thi, kash k Allan yeah batain mujh ko Pakistan main rehte hi bata deta. Aur Allan ar gay hai tu is ne mujh ko pehle kiun nahi bataya? Aur jab who jan chukka tha k mere sath bhi esi hi gar bar hai tu kuch tu kehta, main tu iss dar say k mere bare main sab kuch jan lene k baad Allan kahi mujh ko chor na dai kuch nahi keh paa raha tha. Mgr khud Allan???
Aaj pehli dafa mai nai Allan ki ankhon main anso dekhe, meri ankhon main bhi ansoo thy, abh mainnai himat kari, mainnai us ko kaha, Ab tum pareshan na ho jot um ho wohi main hon, tum batao k tum kia chahte ho aur abh say tum yeah sex worker wali job nahi karo gay, Allan bola k who abh bht use too ho gaya hai, one date each day wali kahani hai. Dosra k ess kam main kamai bht achi hai jitna mainaik hafte main flower aur newspaper ki sell say pese kamata hon us say kahin ziada who 1-2 din main kama leta hai. Abh samjh aya k Allan kiun peson ki taraf say be fikr rehta tha? Allan ne mujh ko kaha k us ski life jese chal rahi hai wese hi chalne don, haan who aur main abh dosti say aik qadm agai barh kar relationship main ajain, Allan khud UK LGBT ka register member tha. Mere liye etna kuch karna mumkin nahi tha kiun k humare (Pakistani) society main yeah sab ka agr kisi ko pata lag jae tu aik hangama barpa ho jana tha.
Main kuch dair khamosh raha aur uth kar khara howa mere sath Allan bhi khara hogaya, rat kafi ho rahi thi aur hum logon nai dinner bhi nahi kia tha. Mainnai khud k andar bht bht himat peda kari. Main nai Allan say poche baher, aur kuch kahe bagher Allan k chahre ko apne hathon main thama aur apne hont us k honton par laga diye, Allan nai bilkul muzahimat nahi kari balke mujh say ziada deep response diya, aur hum kafi dair tak aik dosre ko frnech kis karte rahe, humare hont, humari zaban aik dosre kandar hi aur Allan meri kamar pakre howe tha. Mera liye yeah sabh naya nahi tha mr bht ziada time k baad ho raha tha, agr mujh ko ziada tharak charhti thi tu main masturbation kar lia karta tha. Mgr yahan London main kisi say nahi mila tha kiun k anajana city tha aur anjane city main sabh hi ko dar lagta hai. Mgr khud mere sath aik ensan mere jesa hi tha aur main pehchan bhi nahi saka. Jabh main aur Allan beqabo hone lage tu Allan ka mobile baja. Hum aik dosre say alag howe main bed par beth gaya. Sharmindagi tu nahi thii mgr sharm arahi rahi thi. Allan ne call rec kari. Kuch jawab dia aur mujh say kaha k chalo chalet hain, main nai kaha kahan? Tu jawab mila k tum chalo tu sahi aaj hum dinner bahar lain gy aur aaj main (allan) bht khush hai. Mgr main khush nahi tha. Allan ko hasil kar lena hi sab kuch nahi tha agr main Allan ko hasil kar leta hon tu phir us ki job say kese compromise karon gaa? Main tu kabhi nahi chahon gaa k mera boy friend dosron k bister garam karta phir raha ho aur part time mere sath bhi, hishhhhhhhhhhhhhh. Main nai kaha nahi esa nahi hnoa chahiye, abh 2 hi raste thy, ya tu main Allan ko chor dun ya Allan who job chor day, main nai after dinner Allan say bat karne ka faisla kia, Khuda Khuda kar k tu Allan thoda nrml howa tha main aik dam say hi us ko kisi nai mushkil main nahi dalna chahta tha.
Hum log dinner karne bahar nikle, hum aksar shammainthoda walk karne k liye camps main ghoma karte thy. Mgr city main bht kam jaya karte thy who bhi campus k qarib h qarib mgr aaj Allan ka mood kuch aur tha. Hum log kafi dair tak walk karte us stop par aye hum kahan ja rahe thy ka pata sirf Allan ko hi tha. Hum log busmain baith kar London k posh area main agai. Yahan aik Pakistani hotel main bethe, Allan nai khud, Biryani ka order kia aur main bht khus howa k aaj pure Pakistani khana khane ko mil raha tha, biryani k baad hum nai kheer khai aur tea pee aur ess doran Allan Pakistan ki batain karta raha aur yadain taza karta raha.

No comments:

Post a Comment