Sunday, June 3, 2012

Page - 5 of my dairy


Dear Friends,
Assalam O Alikum,

Janta hon kahani (Dairy) k kuch pages likh kar gayab hona koi achi baat nahi, mgr kia karon, aik tu meri job oper say meri tabyat. Main apni tabyat ka zikr kar k kisi bhi qism ki hamdardi hasil nahi karna chahta, bus etna bata dena chahta hon k aaj kal mera Chemotherapy chal rahi hai kal (June 2nd 2012) ko mera 3rd session tha, aur jo log medical science say wabista hain ya jante hain woh achi tarhan samjh sakte hain ke "Chemo" aik bht painful marhala hota hai. Main apni pori himat jama kar ke ess marhale say guzr raha hon. Aur umid karta hon ke jo bhi reh gaya hai uss say bhi guzr niklon ga.

Kal ka din tu wese hi ajib tha hosh tu tha mgr na hone k brabar. Kher, jo hona tha howa, abh bht behtr hon and hota hi ja raha hon. mgr kia karon meri yadon ke saye mujh ko jene nahi de rahe hain. subh say ankhon main ansoo bhar bhar arahe hain, wajha kia hai yehi janne ki koshish main net tak agaya hon, yeah bhi janta hon k ziada dair tak bethne mere liye sahi nahi mgr kia

karon khud ko tnha tanha mehsoos karon tu kahan jaon. Koi tu esa ho jo mera gham guzar ho, meri mushkil ko samjhe, aur ....

Kher, agai shuru karta hon jahan say silsila toota tha wahi say ...

====================================================================

Office ki party say farigh howa tu sabh nai hi kuch tuhfe diye mgr jo duain mujh ko mili shayad aaj main apni tajurbati zindagi main kamyab hon. Main bojhal dil k sath wapis apne gher aya aur jane ki tayari karne laga. meri zindagi main hamesha kuch na kuch hal chal hi rahi hai. kabhi meri zaat k hawale say kabhi dosron k hawale say, main shuru say hi khud ko social rakhne ki koshish karta hon dosron ki maddad karna meri zindagi ka ehm hisa hai. main agr kisi ensan ko taklif main dekhon tu raha nahi jata khud ka gham, dukh aur taklif bhool bhaal kar dosron k sath lag jata hon jis ka alag hi maza hota hai. kuch din aman aur shanti k satyh guzr gae, mgr baad main fir say halchal. . abhi tak ami aur gher wale mere jane say bht khush thy mgr andar hi andar koi na koi khichri pak rahi thi, Middle class area main rehne ka aik hi nuqsan hota hai k loog apni apni kehte hain aur mere gher walon ko bhi shayad muhalle ki kuch aurton nai bharka diya tha woh aik dam say hi mere U.K jane ki mukhalif ho gae thi, yaham ere tickt tayar  thy, main khud bhi excited tha aur jane main sirf 2 din he reh gaye thy k ami nai kaha k koi zaroorat nahi jane ki jo karna hai yahan karoo. Main nai ammi ko bht samjhaya manaya mgr woh nahi mani, majbooran mujh ko ami k sath thoda sakht lehje main baat karna pari, aur main nai kaha k main ja raha hon chahe kuch bhi ho jae, main wahan ja kar apni zimeh dari pori karon gaa iss k liye bht qasmain khai aur wade kiye, jane wale din ami tayar ho gai, sabh hi ru rahe thy k jese main jang larne jaa raha hon, main jahan excited tha wahi bht ziada sehma howa tha, U.K jana ki khushi thi tu wahan ja kar khud ko adjust karne ki bhi pareshani. 
main raat ki flight say ja raha tha k Woh agaya jis ko nahi ana chahiye tha uss k sath Atif bhi tha main pata nahi kiun jaal bhun k reh gaya, main main nai saaf saaf Asif ko kaha k yar tum ko nahi ana chahiye tha jabh hum decide kar shuke thy k hum abh nahi mile gay, tu uss nay kaha k main bhi out of country ja raha hon akhri mulaqat hai sare gille shikwe door karo aur main Atif k sath khush hon tum bhi apne liye koi acha larka dhoondh lo tu tum ko asani rahe gi. main nai aik pheki hansi k sath thanks kaha. ami log nay mere saman main jane kia kia rakh diya tha. hum loog aik texi aur Asif ki gari main airport rawana howe. Karachi main jahan jahan say guzrta ajib hasrat say dekh raha tha sara rasta ami mujh ko nasihatain kar rahi thi sath sath roti jaa rahi thi. main un ko tasali dene ki nakam koshish kar raha tha mgr kamyab nahi ho raha tha. Aur airport agaya, flight main 4 hours thy mgr boarding announce ho chuki thi. International departure launge main sabh ko alvida kaha aur main apne ansoon pe qabo nahi rakh saka bht himat say kaam le raha tha, 4-year study plan tha kese rahon gaa 4 saal gher k bagher, yahan kia hoga sari fikrain bar bar mere dimagh main ati jaa rahi thi. akhri kar himat kar k ammi ko salam kia un k qadmon ko choowa, gale laga ami k ansoo ponche aur sabh say mila, Asif mujh ko aik taraf le gaya abh ki dafa uss ki ankhon main bhi ansoo thy, mujh ko herat hoi ess ko kia howa hai? yeah tu life ko just enjoy karta hai. uss nai kaha "mujh say jo bhi howa woh sabh meri majboori tha, mgr main nai tum ko apna samjha tha, mgr kia karon? tum bin reh nahi sakta tha esi liye kisi aur ko apnana para, mgr tum (mujh) say dil laga liya tha. ho sake tu mujh (uss) ko maaf kardon, main nai uss k dono hath apne hathon main liye uss k mathe ko chooma, aur kaha, sachi doosti kabhi bhi khatm nahi hoti, zindagi main aik na aik din zaroor milain gay." mere liye dua karna, uss nay mujh ko aik kaghaz diye jis main us k kuch doston aur family k numbr thy jo U.K main rehte thy, uss ne kaha k agr koi mushkil ho tu main uss ko phone karon uss say jo kuch bhi ban para woh kare ga."
hum loog aik dosre k gale lage aur pehli dafa mujh ko uss ko gale lagane say bht itminan mila aur esa mehsoos howa k jese main apni koi bht qimti cheez karachi choor k jaa raha hon. time ziada ho raha tha aur abh mujh ko andar jana chahiye thaa. 
main nai aik dafa fir sab ko alvida kaha aur airport main dakhil howa, mera yeah pehla safar tha bht ziada confiuse tha bahar ami log khare thy bar bar mobile par poch rahe thy kahan tak puhanche main nai jaldi jaldi apna custom karaya, immegeration proccess mukamil kia aur waiting laung main agaya wahan flight abhi announce nahi hoi thi. ami log visitor area say mujh ko dekh rahe thy aur mobile par bat kar rahe thy, asif aur atif bhi wahi n mojood thy main apni ankhain band kar k sabh ko apne bht qareeb mehsoos kar raha tha. thoda hi dair main flight announce hoi main nai aik nazr oper visitor loby main dekha aur sabh ko hath hilata howa on-board jane laga. . . . . 

No comments:

Post a Comment