Tuesday, June 5, 2012

Me in London. (Meeting with Allan)



Jese hi main hawai jahaz main dakhil howa mere mobile per mere cosin ki call aye, woh kisi masrofiyat ki wajha say mujh say nahi mil saka tha, mgr abh uss ki call arahi thi, main jaldi jaldi apni seat par betha aur uss ki call ko recive kia, us ne shikwa kia k main mila tak nahi tu main nai kaha k yar flight ka apna time hota hai, woh bechara bhaga bhaga airport tak aya tha mgr uss waqt tak main boarding kar chuka tha. . . uss say kuch batain kar ke mobile band kar dia kiun k bar bar elan ho raha tha k mobile band karo, laptop off karo aur seat belt band lo, main nai wohi kia jesa kaha ja raha tha. mujh ko tu yeh bhi nahi pata tha k main kitna dair main London puhanchon gaa, aur wahan utr kar karna kia hai, bus birtish consil say jo letter mila tha us main likha tha k airport par mujh ko lene hostel ka koi banda aye gaa.
Gher ki yadain, office ke batain aur nai zindagi ki talash parhne ki lagan sabh kuch soch kar himat de raha tha khud ko, essi lamhe jahaz nai take-off karne ka elan kia, mera pehla safr tha bht excited aur bht dara howa, main nai apne dono hathon say seat ko pakar lia aur apni ankhain band kar k ayatal kursi parhne laga "hum jese musalmanon ko ALLAH sirf ese hi mushkil moqe par yad ata hai. ALLAH maaf kare."
Thoda dair main jahaz urh chuka tu jan main jan aye, meri seat window ki nahi thi mgr main bar bar window main dekhne ki koshish kar raha tha, mere brabr wali seat par aik borhi khatoon bethi thi mere ko dekh kar khud hi kehne lagi k "beta tum ess seat par ajao main tumhari seat par ajati hon, main ne un ka bht shukriya ada kia aur mana karne ki koshish kari mgr woh samjh chuki thi k main excited hon esi liye khud hi khari ho gai aur hum nai seat exchange kar li. Jahaz iss wqt samandr k oper tha. aur main khriki say neche dekhne ki koshish kar raha tha. phir un aunty ne mera interview liya tu main nai sab hi sach sach bata dia, woh bhi apne bete k pass U.K ja rahi thi. unhon nai bht shafqat say mere sar par hath phera aur mujh ko himat di. thoda diar main main khud hi su gaya kiun k pichle kuch dinon say thik sy soya tak nahi tha. raste main bht acha khana diya gaya aur bhi achezen serve kari gai. aik bht lambi flight k baad elan howa k hum Heathrow  airport par utarne wale hain, sabh apni tayari karne lage, aur main aik dafa fir say khoof main k abh yahan kia hoga, anajana mulk hai, na koi jan pehchan kese karon ga manage, sab say ziada khoof mujh ko apni english kamzoor hone par tha k kese airport pe deal karon gaa. phir andar say awaz aye, "Uth Bandh Kamar Kia Darta Hai -  Phir Dekh KHUDDA kia karta hai." aur essi awaz nai mujh ko himat di. jo anty brabar wali seat par thi unhon nai kaha k beta agr koi pareshani hoi tu main yahan london main hi hon mera beta tumhari pori help kare ga. aur main tumhare hostel jane tak tumhare sath hon, mujh ko aur himat hoi, main nai KHUDDA ka bht shukr ada kia. jahaz nai landing kari. hum log bahar nikle, apna saman uthaya, immigeration counter par aye, aunty mere sath sath hi thi, angrez aur un ki angrezi meri samjh say bahar thi bari mushkil say hi kuch samjh paa raha tha. aunty ne har marhale par meri help kari. hum log saman le kar bahar nikle tu. aunty ka beta samne hi khara tha aur aik aingrez uncle mere naam ki takhti le kar khare howe thy takhti par mera naam, Cambridge University, Karachi Pakistan likha howa tha 2-3 dafa parh kar main un k paas gaya uhnhon ne mera passport dekha mujh say hath milaya aur aunty k bete ne un say kuch kaha phir anty ne mere sar par hath phera, un k bete ne mujh ko apna visiting card dia k koi problem ho mujh say rabita karna. main nay un sab ka thanks kaha aur hostel wale angrez uncle k sath aik cab main beth kar apni nai manzil ki taraf nikal para. main raste main london ki sarkon ko dekh raha tha road par gariyan chal rahi thi mgr bht hi qanoon k hisab say, log foot path par thy, har tarf asool pasandi nazr arahi thi, safai esi k soch bhi nahi sakta tha. sabh kuch jese aik khwab lag raha tha. thoda hi dair main Cambridg ka hostel agaya. cab andar dakhil hoi, entrence par kuch log khare howe thy. Mujh ko bilkul andaza nahi tha k yeah log mere liye khare howe hain. Main nai 100% scholarship k liye qualify kia tha. jo bht kam log karte hain. esi lye mere hostel k sare hi log wahan mojood thy, main bahar nikla tu mere sath mujood sahib ne un sab say mera inro karaya, sab ne mujh ko mubarakbad di, hath milaya aik ne mera saman pakra aur mujh ko mere room ki taraf le jane lae, raste main meri mulaqat mere room mate say karai gai jo mujh ko lene hi araha tha, uss ka naam "ALLAN" tha, aur woh bhi Canada say yahan parhne aya tha. uss ne bht hi khalos k sath mujh say hath milaya mera hal chal pocha aur hum apne room main agai, room kia tha aik choota hall tha jis main 2 bed lage howe thy aik tarf tv tha attached bath tha, chota fridg tha, cupboeard tha, ALLAH ka guitar and violin tha study table thi aur 2 sitting charis lagi hoi thi, aik chota carpet bhi tha, (Agr moqa laga aur munasib howa tu uss room ki pics bhi zaroor share karon gaa). main heran k mujh jese ghareeb ensan ko jo karachi say apni jaib main sirf 5000 pakistani rakh kar yahan aya hai etni achi saholat mile ge, (meri ankhon main ansoo agai aur main nai dil hi dil main ALLAH ka shukr ada kia). sabh log aik aik kar k ruksat ho gai, abh room main mai aur Allan hi reh gae thy. Allan nai eshara kia aur ka "Do you wanna get fresh?" main nai kaha oh yes yes, wo muskura diya mera jawab khalis pakistani english style main tha. uss ne mujh ko washroom dikahaya main nai apne bag say soap waghera nikala tu Allan nai kaha k everything is in washroom, main khisyaa kar washrom main gaya aur jaldi main apne kapre lejana bhool gaya. main nai aik lamba shower lia, towel lapeta abh samjh nahi araha tha k esi halat main bahar niklon ya Allan say help lon, pehli hi mulaqat main yeah sabh kuch acha nahi lag raha tha. Majbooran main nai washroom ka darwaza khoola aur Allan ko kuch es tarhan kahan "Oh Allan, please take a side I wanna come in the room to change my clothes." ye tha mera pehla mukamil angrezi jumla jo main nai London puhanchne k baad abh tak kaha tha. Allan ko pata nahi kia howa bht zoor zoor say hansne laga. phir kaha, "Come on buddy, nobody is here, u can change your clothes I am not gonna do anything at this moment." phir woh uth kar room say bahar chala gaya. main jaldi jaldi room main aya apne kapre uthaye aur washroom main ja kar change kia.
Pehli mulaqat main hi sabh gar bar ho raha tha. main nai khud ko nrml rakhne ki koshish kari gehri gehri sansain li aur washroom say bahar aya, Aaj yahan friday tha aur din k 3:30 ka tym tha. main wapis room main akar apni chezain samtne laga. achanak khayal aya k mujh ko london puhanch kar 3-4 ghante ho gai hain mgr gher walon ko phone tak nahi kia, mere pass sirf 25 punds (UK ki currence) thi, socha kisi public both say gher phone kar don gaa. jabh yahan ki sim lon ga tu bad main ussi say bat kar lia karon gaa. thoda dair main Allan wapis aya tu uss k hath main aik shoper tha. main nai tu Light house say jeans ki 2 paints li thi aur 2 tee's li thi un main say aik pehn li thi aur saaf lag raha tha k mangi hoi cheez pehn rakhi hai.
Allan nai aik dafa phir mujh ko Hi kaha aur shoper say aik energy drink nikal kar mujh ko dia, main nai bht mana kia (dil hi dil main soch raha tha k kahin ye halki phulki sharab hi na ho) mgr Allan nahi mana aur kaha k aik dost ki tarf say pehli treat aur welcome drink hai, main nai majbooran chote chote ghont le kar peena shuru kia, phir Allan samne baith gaya kuch dair khamosh rehne k baad utha aur apna laptop nikala, phir mujh say batain shuru kardi, main nai tooti phooti english main uss ka sath dene ki koshish kari us ne meri halat samjh li thi esi liye bht sambhal sambhal kar english bol raha tha. us ne mujh ko bataya k yahan weekend shuru ho chuka hai, aur Monday say Uni start hogi jahan mera fisrt term ya semister already start ho chuka hai aur main 2 weeks ki classes miss kar chuka hon, mujh ko sath sath english improve karne k liye one years english language foundation course bhi karna tha. yani aik din main main taqreeban 6-8 hours ka study plan diya gaya tha mujh ko. main nai himat kar k Allan say kaha k mujh ko Pakistan apne gher walon ko inform karna hai agr hum kahin bahar ja kar public both say phone kar sake, Allan tu foran hi khara ho gaya, aur kaha Come on buddy what r u waiting for? main bhi ready ho gaya, Oh yeah kia mere pass tu shoes bhi dhang k nahi thy, Allan nai kuch kahe bagher hi wardrob say apne shoes nikal kar diye mere mana karne par us ne bura moun banaya aur main nai halat ko dekhte howe uss k jote pehen liye jo mujh ko thora bare thy mgr set thy. hum dono apne room say bahar nikle tu Allan nai apna mobile mujh ko diya k main apne gher txt kar don k main puhanch gaya hon thoda dair main call karta hon. main nai us k mobile say apni ami aur sis k number par message kia. msg ka jawab kia ana tha ammi ka phone foran agaya, main nai Allan ka thanks kar k phone lia aur bat kari, Pak-UK call bht expensive thi mgr ammi nai 500 ka balance already load kar rakha tha mera hal chal pocha thoda roi mujh ko kuch hidayat di aur behn say bat hoi aur mujh ko aur pakistan main gher walon ko thoda sakon howa main nai kaha k aaj raat ya kal raat phir phone karon gaa. mgr aap log ess numbe par (Allan k number par na karna). Allan bhi halka halka muskura raha tha. hum log batain karte karte hostel say bahar agai. Allan nai mujh ko London k tariqe, qanoon, qaghera k bare main batana shuru kia, aur kaha k iss weekend par main tum ko thoda city dikhaon gaa, aur hum aik dosre ko samjhne ki koshish karain gai, akhir 4 saal aik sath jo rehna hai.
Allan bht kind, humble, caring nature ka larka hai, mera hum umr hi hai, aik dam gora chita. masoom si soort, uss ki baton say pata chala k uss ki mom divorce le chuki hai aur 2nd husband k sath Denmark main hai uss ka baap kabhi kabhar us ko phone karta hai, Allan 50% scholarship par U.K parhne aya hai. main nai bhi apne bare main thoda bht bataya. main us ko samjhne aur woh mujh ko samjhne ki koshish main tha, us nai sabh say pehle mujh ko london ka mashoor Hide park dikhaya, Help and resuce services k bare main bataya, medication k liye kia karna chahiye ye bataya, subway bataya. aur hum in 2 dinon main bht achi tarhan ghul mil gai, etna k mujh ko Allan ki sorat main aik bht acha dost aur sathi mil gaya jo qadm qadm par meri rehnumai karta, sunday ki sham main hostel main logon ki amad shuru ho gai, kuch log jo out of city chale gai thy week end k liye woh wapis arahe thy, Allan nai bataya k monday morning kabh uthna hai, kis tym mess par jana hai aur kis tym class lene. aur mere pehla din bht hangame wala hoga, har koi mujh ko janna chahe gaa, kuch log masti karain gay, kuch log awazain kase gai aur mujh ko kese behave karna hai. main thoda dara sehma tha mgr Allan nai kaha k main fikr na karon woh har qadm mere sath hoga. main apne first day ki tayari karte howe aur sochte howe apne bed par let gaya. humare room main koi fan nahi tha cetnry Ac system and heating system tha. Allan apne laptop par apne doston say chit chat main masroof tha k meri ankh lag gai, subh 6 baje hi meri ankh khul gai, main nai shower lia jaldi jaldi namaz parhi aur ALLAH say madad mangi. Main jabh say UK aya tha pori koshish kar raha tha k Koi bhi namaz na choron aur Allan ko bhi iss say koi pareshani nahi thi, kal Yani guzri sunday ko Allan mujh ko apne sath Church le gaya tha jahan us ne service main shirkat kari aur main nai ehtraman khud ki nigahon ko zamin ki tarf rakha Allan mujh say bht khush tha aur main Allan say.
Thoda dair main Allan bhi uth gaya, woh bhi fresh howa, hum logon nai kapre waghera change kiye, Allan ne hi mujh ko apni grey paint di hum dono ki waist main sirf 1 inches ka farkh tha meri 29 aur Allan ki 30, phir apne sath lai hoi shirt pehni Allan nai meri Tie bandhi aur hum dono ready ho kar aik hath main note book jaib main pen rakh kar hostel k sath hi campus main jane k liye nikle, main bht khush tha, dil hi dil main ALLAH ka shukr ada kar raha tha, k isi tym Allan ka mobile baja call pak say thi Allan nai muskura kar phone mujh ko diya line apr ammi thi aur mujh ko dua de rahi thi k aaj mera pehla din hai aur main bht mehnat say parhon. main nai ami ko tasali di ami nai Allan ko bhi dua di aur 2 mint ki bat k baad main nai line kaat di, raste main har koi mujh ko ese dekh raha tha jese main koi khalai makhloq hon.  koi hath hila raha tha koi ankh mar raha tha koi kuch keh raha tha mgr Allan nai yehi kaha tha k kahin rukna nahi hai sedha campus hi jana hai. main nigahain nechi kar k chala ja raha tha. jese hi hum campus main enter howe kuch larkon nai hum ko roka, mgr Allan nai sambhal lia aur thodi si behs k baad hum log apne campus main enter ho hi gai, loby main jaga jaga notice board lage howe thy, aik notice board par meri tasvir lagi hoi thi jis ko dekh kar main nai Allan ko kaha k rukna let c whts dis. meri pic k sath jo k karachi ki thi uss ka size bara kar k lagaya gaya tha aur neche likha gaya tha k mera shumar un kuch logon main hota hai jinhon nai 100%scholarship li hai aur iss sal un 10 asian's main say hon jin ko ye ezaz mila hai meri ankhon main phir anso agai main nai ALLAH ka shukr ada kia k jis ne mujh ko etni ezat di. thoda dair main aik ghanti baji aur Allan mera hath khenchta howa mujh ko meri class ki tarf le jane laga. hum log aik bench par baith gaye, class kia thi aik tarhan ka opera hall tha bari bari benches, bara say board side main laptop books dice mic meri qismat. aik bht acha study mahool tha, jaldi jaldi baqi log bhi ane lage hum log 2nd row main thy jo ata meri taraf dekhta aur muskura kar ya hath hila kar hi kehta aur apni jaga beth jata. thoda dair main aik profesor aye sath hi Dean bhi aye, unhon nai mera naam liye main khara ho gaya, jis par woh muskurae, mujh ko apni taraf bulaya main front par gaya mujh say hath milaya aur mujh ko mera intro dene k liye kaha, Allan ne mujh ko in sabh ki bht practice karai thi. main nai bht ahista ahista aur limited intro diya sabh nai clapping kari phir mujh ko meri jagaha jane k liye kaha gaya. lecutre shuru howa aik class end hoi sachi bat hai meri samjh main kuch nahi aya tha, ye pehli class Sociology ki thi. mgr kuch samjh nahi aya tha main bht confiuse tha. Allan ne meri halat samjh li thi us ne kaha k aaj say mujh ko english ka foundation course bhi shuru karna hai aur woh mujh ko english sikhane main madad kare ga baqi notes waghera hum share kar lain gy. ALLAH nai meri har jaga madad kari. jahaz main woh anty aur yahan ALLAN. . . 
essi tarhan humare din rat guzarte gae, eik hafte baad ami say bat hoi tu ami nai pocha k kaam ka kuch howa, Oh, ess bare main tu kuch socha hi nahi tha, mere visa par 2 hours ki work permission thi main nai ami ko tasali di k next week say start ho jae gaa. Main nai Allan sy discuse kia tu Allan ne usi tym mujh ko kaha k get ready, we're going for work. hum dono hostel ki mess par aye wahan jakar aik form fil kia manager ko diya uss ne mujh ko 4 cards diye aik mera medical card tha, dosra buss pass, tesra student card aur chotha job placement card, Allan nai usi tym mujh ko kaha k hum social worker office ja rahe hain, hum log 20 mint baad social worker office the yahan main nai apna job placement card dikahaya aik chota sa interview howa jis main pocha gaya k main kia kaam kar sakta hon. phir mujh ko aik letter diya gaya jis k mutabiq mujh ko hidepark main roses sell karne ki permission di gai thi. main chonka k yeh kam kese karon gaa mgr sath hi Allan nai bhi esi kam k liye kaha tu hum dono ko hi same place par permission di gai, Allan iss say pehle aik bar main 2 hours job kar raha tha. mgr abh hum dono hi. mujh ko tu kuch pata hi nahi tha k karna kia hai, Karachi main dekha tha k larke signals par parks k bahar khare ho kar awaz laga k phool bechte hain mgr main yahan kese karon gaa. enhi khayalat main hum wapis hostel agai aik nai tension thi phir wohi howa hum shaam main sabh kamon say farigh ho kar hide park gai Allan aik flower shop par gaya jahan hum dono k 50 pnds jama karane par hum ko kuch roses aur other flowers mil gai hum dono unn flowers ko le kar hide park agai aur aik taraf khare ho gai, hum ko kuch nahi karna tha bus aik jaga khara hona tha. jin ko kuch lena hota woh khud atai aur le kar pese de kar chale jate, Allan nai mujh ko rates bata diye thy barganing ki koi gunjaish nahi thi. mere liye yeah kam koi mushkil nahi tha. aur first day hi humare sare flower bik gae hum nai rose shop main ja kar pana hisab kita kia aur meri first day ki amadni 15 pounds hoi thi. main nai ALLAH ka shukr ada kia aur socha k agr ese ho hota raha tu har week pakistan pese bheje ja sakte hain. agr roz k 10 pund bhi jama karon tu weekend tak 60-70 punds jama kar k pakistan bhej sakta hon. aur howa bhi yehi aik hafte baad main nai ami ko phone kar k bataya k 50 pounds bhej raha hon ami bht khush hoin mujh say pocha k kia kam kar rahe ho tu main nai jhoot kaha k aikl coffe shop main hon. 
esi tarhan aik month fir dosra month guzra, masrofiyat nai kuch aur sochne ka moukha tak na diya, 3rd month main nai mobile aur sim bhi le li abh gher walon say rabita asan tha, aur usi month mujh ko Asif, Bilal atif aur mere office k boss k phone agai sabh ne mujh say mera haal pocha mujh ko dua di aur kaha k sabh hi mujh ko miss kar rahe hain. Allan mere liye aik farishta tha, har week end mujh ko ghumane le jata, study main meri help karta aur main us ko rudu sikhane main laga howa tha. 4th month humare semister hone thy hum log ji jan say tayari main lage howe thy Allan ka kehna tha k hum ko kuch dinon k liye kam rok dena chahiye hum ko study par tawajha deni chahiye mgr main esa nahi chahta tha aik hafta ya aik month kam rokne ka maqsad tha k karachi main ami mushkil main ajati. bari mushkil say tu yeh roz wala kam jama tha. Allan nai kaha k woh study kare ga agr main chahon tu kam kar sakta hon. main nai kaha k main kam karon gaa baqi tym study. phir bhi Allan roz mere sath jata park main baith kar parta ya apne laptop par laga rehta aur main apne kam par jab mere kaam ka tym pora ho jata tu hum sath hi wapis ajate. . . 
 

No comments:

Post a Comment